Eid Har Baras Ki Tarha Is Baras Bhi I Hai

Eid Har Baras Ki Tarha Is Baras Bhi I Hai

Suna Hai Samait Kar Khushiyan Apne Sath Lai Hai

Jin Ko Ho Ga Hasil Deedar-e-Yar

Un K Liye To Khizhan Me Bhi Bahar Lai Hai

Guzar Jaye Gi Ye Eid Bhi Ek Sham Ki Tarha

Mere Lub Pe Wohi Purany Sawal Lai Hai

Log Galay Mil Rahe Hain Mujhe Kuch Hosh Nahi

Us Ki Yaadon Ka Bana K Apne Sath Aik Jaal Lai Hai

Mujhe To Mustakbil Me Bhi Koi Eid Nazar Nahi Aati

Mera Maazi Bhi Udaas Tha Mere Haal Me Bhi Tanhai Hai...

Popular posts from this blog

Da Panjre Chaghar by Ghani khan د پنجرے چغار

Ahmad Faraz Ghazal رنجش ہی سہی دل ہی دُکھانے کے لئے آ

Kash Main Tery Haseen Hath ka Kangan hota by wasi shah | Urdu Poetry