Bohat Aaraam Karna Chahti Hun | Urdu Poetry



Bohat Aaraam Karna Chahti Hun

Bohat Aaraam Karna Chahti Hun

 Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun

 Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai

 Ise Neelaam Karna Chahti Hun

 Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay

 Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun

 Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar

 Mein Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun

 Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai

 Ise Naakaam Karna Chahti Hun

Popular posts from this blog

Da Panjre Chaghar by Ghani khan د پنجرے چغار

Ahmad Faraz Ghazal رنجش ہی سہی دل ہی دُکھانے کے لئے آ

Kash Main Tery Haseen Hath ka Kangan hota by wasi shah | Urdu Poetry